Exploratory Data Analysis (EDA) Kyun Zaroori Hai?

Why EDA is important?

Salam, data science dost! Aaj hum guftagu karein gay do bohat ahem topics par jo data science aur machine learning (ML) ke duniya mein har kadam par sath detay hain: EDA (Exploratory Data Analysis) aur data pre-processing.

1. EDA (Exploratory Data Analysis) Ki Importance 🕵️‍♂️

Jab aap kisi naye dataset se milte hain, toh sabse pehla kaam kya hota hai? Bina sochay samjhay ML model train karna? Nahi, yaar! Pehla kaam jo humein karni chahiye, woh hai EDA.

– Data Ko Samajhna: 🧠

  • EDA ke zariye, hum apne data ko behtar samajh sakte hain: konsay variables hain, inki range kya hai, aur inme kaise patterns moujood hain.

– Mushkilat Ko Pehchanna: 🧐

  • EDA ke through, hum anomalies aur unusual points ko pehchaan sakte hain, jo model training mein problem create kar sakte hain.

– Data Ki Kahani Sunna: 📖

  • Har dataset mein ek kahani hoti hai. EDA ke zariye, hum woh kahani ko samne laa sakte hain.

– Exploratory Data Analysis k liay ye blogs zaroor parhen

2. Data Pre-processing: ML Ke Liye Data Ki Tayyari 🛠️

Agar EDA data ko samajhne ka pehla qadam hai, to data pre-processing woh qadam hai jisse hum data ko machine learning ke liye ready karte hain.

– Data Ki Safai: 🧹

  • Socho, agar data mein masail hain, to kya hum acha model train kar sakte hain? Isliye, missing values aur unusual points ko handle karna padta hai.

– Data Ko Convert Karna: 🔄

  • Machines sirf numbers samajhti hain, isliye humein text data ko numeric form mein convert karna parta hai.

– Feature Engineering: 🔧

  • ML models ke liye, hum naye features bhi tayyar karte hain taake model ki performance improve ho.

3. EDA aur Data Pre-processing: Data Science aur ML Ka Backbone 💪

  • Behtareen Model Training:
    • Sahi data preprocessing se ML models ki accuracy aur performance behtar hoti hai.
  • Waqt Bachao:
    • EDA aur data pre-processing ke zariye, hum future mein hone wale masail ko pehle hi pehchaan kar door kar sakte hain.

Conclusion: Data Science Aur ML Ki Safar Ka Saathi 🚗

Agar EDA aur data pre-processing na hoti to? ML projects mein kai challenges aate. Lekin in dono tools ke saath, aap data science aur ML mein behtar tajurba hasil kar sakte hain.

Aakhir mein yaad rahe: Aik Machine Learning model sirf utna hi acha hota hai jitna uska data. EDA aur pre-processing ke zariye, hum is data ko behtar bana sakte hain. Happy coding! 🚀🎉

80 Comments.

  1. Really helped alot , the content is super amazing with easy understandable formate with beautifull desi examples loveed it. Dear Sir more power to you …

  2. this is amazing but I want you to write blogs in basic English because when you write blogs in English So every person’s English will be good.

  3. EDA karne k liye sab se pehle data ko achi tarah songty hai, yani usko achi tarah explorer karne k baad EDA karna bhut asaan ho jata hai.

  4. Thank you so much…… Am totally blank in terms of data scientist but you teach us in very good and understandable way

  5. Asslam o allakam thanks for another highly informative BLOG. sir if is possible kindle publish it in printable for also , well i think this way we can make a book out of it or at least text book .

  6. baat samjanay ki hoti ha. aur isstera aik insan k zain ma samujtay hovay question paida hotay han jinko kud google say answer b hasil ker saktay han. solid concept building k lia ya bot acha kadam ha. Allah apko kamyabi day ameen

  7. Sir, you doing outstandingly well, But i have a request that blog should be in simple English and/or Urdu haroof e tehji, because Urdu with English alphabets its difficult to read a blog. Thanks

      1. Sir, i really thank you for response. kindly use text language of urdu haroof e tehji (to grasp concepts) and in English to deal / communicate in DS. Sir, this will really help and increase acceptance/ audience of DS in Pk.

  8. Here it is explained the time spent on pre data processing and EDA will give remarkably good out comes further analysis and models. It is back bone of AI. jazakallah

  9. Jo concept mje online articles parh ke bi clear nai hrha tha wo is blog se mje clearly smjh ma agya, or na sirf smjh aaya balkay ab sari zindagi mind ma bi rhy ga In Sha Allah.

  10. Aap nay EDA or data pre processing bohat hi achy andaz may samjhayya hy .

    ALLAH KAREEM aap ko dono jahan ki bhalayeya aata kry. AAMEEN.

  11. EDA very well explained, very informative article, cleared the whole concept about the EDA… Very much appreciated.

  12. May ny BS may 10 years ka metrological data par kam kia tha, us waqt smj nahe ata tha kih kia kar rahy hain. Wo Sara data 3 months may Sirf excel may type kia, ab sary concept clear hugai,

    Use data ko ab use karunga.

  13. This blog effectively highlights the significance of EDA and its impact on the overall data analysis process. Keep up the good work…

  14. Thankyou for such content sir.
    I was looking for everything about EDA rather than coding that we covered already.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *